இசையுடன் ஈத் முபாரக்!
Thanks to : Balraj Jittla
***
***
Mast Aankhun Ki Kasam Khane Ka Musam Aa Gaya
Jam Ko Shishay Sey Takran Ne Ka Musam Aa Gaya
Asmat-e-tauba Ko Thukraney Ka Musam Aa Gaya
Aa Gaya Pi Kar Baihak Janey Ka Musam Aa Gaya
Aaj Tauba Ko Ghataun Kay Hawaley Kardo
Aa Gaya Pi Kar Baihak Janey Ka Musam Aa Gaya
Tauba To Kar Chukka Tha Magar Phir Bhi Ae Jaleel Kali Ghata Ko Daikh Kay Niyat Badal Gaee
Aa Gaya Pi Kar Baihak Janey Ka Musam Aa Gaya
Lutf-e-mai Tujhse Kya Kahun Zahid Haye Kambakht Tune Pihi Nahin
Aa Gaya Pi Kar Baihak Janey Ka Musam Aa Gaya
Aye Weza Tu Sharab Pi Lay Na Kar Tu Kuch Ijtanab Pi Lay
Mein Teri Manun Namaz Parh Lun Tu Meri Maan Ab Sharab Pi Lay
Aa Gaya Pi Kar Baihak Janey Ka Musam Aa Gaya
Cham Cham Kar Ke Sawan Aya Mein Ke Dar Se Bhagi Tauba
Aa Gaya Pi Kar Baihak Janey Ka Musam Aa Gaya
Phir Ghata Chae Baihak Jane Ka Musam Aa Gaya
Jam Ka Shishe Ka Paimane Ka Musam Aa Gaya
Yeh Fiza Yeh Chandni Ratain, Yeh Daur-e-jam-o-mai
Mastiun Mein Gark Hu Janey Ka Musam Aa Gaya
Hu Rahin Hain Jama Ek Markaz Pe Dil Ki Wehshatein
Hamnashin Shayed Bahar Ane Ka Musam Aa Gaya
Muskarata Hai Koi Chup Chup Ke Dil Ki Aar Mein
Hasratun Kay Raks Farmaney Ka Musam Aa Gaya
Rafta Rafta Wakiat-e-dard Yaad Ane Lage
Chupke Chupke Ashk Barsane Ka Musam Aa Gaya
Mast Aankhun Ki Kasam Khane Ka Musam Aa Gaya...
No comments:
Post a Comment